Kismat Ke Khel Nirale Mere Bhaiya

Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
kismat ka likha kaun taale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
kismat ke haanth mein duniya ki dor hai
kismat Ke aage tera koi na jor hai
Sab kuch hai usi K hawaale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
kismat mein likha hai jo sukh ka savera
kab tak rahega ye gam ka andhera
ek din to milenge ujale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
ye sacha tirath uncha himalay
ye man ka mandir sukh ka shivalay
dhuni yahin pe tu ramale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
duniya mein prani kya kya sapne sajaye
kismat ki andhi unhe pal mein mitaye
bigdi ko kaun sambhale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
kismat ka likha kaun taale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya
Kismat ke khel nirale mere bhaiya



Credits
Writer(s): Prem Dhawan, Ravi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link