Waqt Se Din Aur Raat

Kal jahaan basti thi khusiyaa
Aaj hai maatam vahaan
Waqt laya tha bahar
Waqt laya hai sijaan

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai gulaam
Waqt kaa har shai pe raaj
Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai gulaam
Waqt kaa har shai pe raaj

Waqt ki gardis se hai
Chand taro ka nisan
Waqt ki gardis se hai
Chand taro ka nisan
Waqt ki thokar me hai
Kya hukumat ka samaaj
Kya hukumat ka samaaj
Waqt se din aur raat
Waqtse kal aur aaj
Waqt ki har shai gulaam
Waqt kaa har shai pe raaj

Waqt ki paaband hai
Aati jaati raunake
Waqt ki paaband hai
Aati jaati raunake
Waqt hai phulo ki sej
Waqt hai kaanto kaa taaj
Waqt hai kaanto kaa taaj
Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai gulaam
Waqt kaa har shai pe raaj

Aadami ko chaahiye
Waqt se dar kar rahe
Aadami ko chaahiye
Waqt se dar kar rahe
Kaun jaane kis ghadi
Waqt kaa badale mizaaj
Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai gulaam
Waqt kaa har shai pe raaj.



Credits
Writer(s): Ravi, Sahir Ludhianvi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link