Na Tujhe Pyhir Dekhoon

(Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu
Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye) - (2)
Main mohabbat ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon - (2)
Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon - (2)
Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu
Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye

Waise bhi toh abb kuchh saansein baaki hai
Thode se din thodi raatein baaki hai
Dard bahot hai par jine ka bhi dil hai
Sab kehate iss haal mein jina mushkil hai
Bayaan kaise karu meri jo haalat hai
Magar dil keh raha yahi toh chaahat hai
Main toh chaahat ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon - (2)
Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon - (2)
Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu
Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye

Jhute waadon ke jakhmon se ghaayal hoon
Main deewaana kya haan main paagal hoon
Abb bhi tumse khaabon mein milata hoon main
Abb bhi thodi yaad hai aur jalata hoon main
Magar sab keh rahe bhula du uss pal ko
Main jo pal ji liya bhula du uss pal ko
Main toh uss pal ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon - (2)
Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon - (2)
Na tujhe phir dekhu, na tujhe phir sochu
Na teri yaad aaye, na meri jaan jaaye
Main mohabbat ki aakhari nishaani bhi mita aaya hoon - (2)
Teri tasweer jalaake raakh dariya mein baha aaya hoon - (3)
by samir 9623318685



Credits
Writer(s): Praveen Bhardwaj, Nikhil
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link