Ek Din Kahin

Ek din kahin do tum mile aur teesra koi na ho
Baithe rahein khoye rahein
Kuchh main kahoon kuchh tum kaho
Ek din kahin do tum milein aur teesra koi na ho
Baithe rahein khoye rahein
Kuchh main kahoon kuchh tum kaho
Kabhi main kahoon zara sun to lo
Kabhi tum kaho ab keh bhi do
Kabhi main kahoon tumhein nazneen
Kabhi tum kaho mujhe humnashi
Kabhi main kahoon sun mehjabi
Nahin tum bin mujhko chain kahin
Phir tum kaho ki tumhein hai yakeen
Phir main kahoon ki mujhe pyaar hai tumse

Ek din kahin hum do milein aur teesra koi na ho

Mausam ki baat raahon ki baat manzil ki baat ho
Phoolon ki baat khwaabon ki baat phir dil ki baat ho
Mausam ki baat raahon ki baat manzil ki baat ho
Phoolon ki baat khwaabon ki baat phir dil ki baat ho
Mehki si ho tanhaaiyaan
Aane lagein angdaaiyaan
Dhadke ye dil kaanpe nazar
Tummko kabhi chhoo loon agar
Main ye kahoon kehta rahoon
Mujhe tum bin ab jeena nahin
Phir tum kaho ki tumhein hai yakeen
Phir main kahoon ki mujhe pyaar hai tumse
Ek din kahin hum do milein aur teesra koi na ho

Chanchal hawayein aanchal udayein lekin main thaam loon
Samjho ishaara jab main tumhaara koi bhi naam loon
Chanchal hawayein aanchal udayein lekin main thaam loon
Samjho ishaara jab main tumhaara koi bhi naam loon
Tumhe pyaar mein kehta rahoon
Kabhi chaandni kabhi raagini
Kabhi tumko main kahoon geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho
Meri preet ho manmeet ho
Tum kaho to de doon jaan yahi
Phir tum kaho ki tumhein hai yakeen
Phir main kahoon ki mujhe pyaar hai tumse

Ek din kahin do tum milein aur teesra koi na ho
Baithe rahein khoye rahein
Kuchh main kahoon kuchh tum kaho
Kabhi main kahoon zara sun to lo
Kabhi tum kaho ab keh bhi do
Kabhi main kahoon tumhein nazneen
Kabhi tum kaho mujhe humnashi
Kabhi main kahoon sun mehjabi
Nahin tum bin mujhko chein kahin
Phir tum kaho ki tumhein hai yakeen
Phir main kahoon ki mujhe pyaar hai tumse
Ek din kahin hum do milein aur teesra koi na ho

Credits
Writer(s): Javed Akhtar, Nusrat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link