Tum Bin Jaoon Kahan - From "Pyar Ka Mausam"

Tum bin jaaoon kahan
Tum bin jaaoon kahan
Ke duniya mein aake
Kuch na phir chaaha kabhi tumko chaahke
Tum bin jaaoon kahan
Ke duniya mein aake
Kuch na phir chaaha kabhi tumko chaahke
Tum bin

Reh bhi sakoge tum kaise hoke mujhse judaa
Hatt jaayegi deewaarein sunke meri sadaa
Aana hoga tumhe mere liye saathi meri
Sooni raah ke
Tum bin jaaoon kahan
Ke duniya mein aake
Kuch na phir chaaha kabhi tumko chaahke
Tum bin

Kitni akeli si pehle, thi yahi duniya
Tumne nazar jo milai, bas gayi duniya
Dil ko mili jo tumhari lagan, diye jal gaye
Meri aah se
Tum bin jaaoon kahan
Tum bin jaaoon kahan
Ke duniya mein aake
Kuch na phir chaaha kabhi tumko chaahke
Tum bin

Dekho mujhe sar se kadam tak, sirf pyaar hoon main
Gale se laga lo ke tumhaara beqaraar hoon main
Tum kya jaano ke bhatakta phira kis kis gali
Tumko chaahke
Tum bin, jaaoon kahan
Ke duniya mein aake
Kuch na phir chaaha kabhi tumko chaahke
Tum bin



Credits
Writer(s): Rahul Dev Burman, Majrooh Sultanpuri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link