Premi Aashiq Aawara

Premi, aashiq, awara
Pagal, majnu, deewana
Premi, aashiq, awara
Pagal, majnu, deewana
Mohabbat mein yeh naam humko mile hai
Tumhe joh pasand ho aji farmana dil jaana
Premi, aashiq, awara
Pagal, majnu, deewana

Mehakti jawaani, hawa ki ravaani
Humein yoon na tadpake jaa
Humein yoon na tadpake jaa
Bahaaron ki rani, haseena deewani
Na dil aise dhadkake jaa
Na dil aise dhadkake jaa
Maana hai tu har haseen se haseen
Hoga na humsa bhi duja kahin
Hoga na humsa bhi duja kahin

Bhanwra, chhaliya, harjaai
Pagal, majnu, deewana
Mohabbat mein yeh naam humko mile hai
Tumhe joh pasand ho aji farmana dil jaana
Premi, aashiq, awara
Pagal, majnu, deewana

Arre nakhrewali na de humko gaali
Humein tune jaana nahi
Humein tune jaana nahi
Gulaabon ki daali, sharaabon ki pyaali
Humein yoon jalana nahi
Humein yoon jalana nahi
O jaan-e-jana akadti hai kyun
Dilwalo pe yoon bighadti hai kyun
Dilwalo pe yoon bighadti hai kyun

Dilbar, anaadi, saudaai
Pagal, majnu, deewana
Mohabbat mein yeh naam humko mile hai
Tumhe joh pasand ho aji farmana dil jaana
Premi, aashiq, awara
Pagal, majnu, deewana
Premi, aashiq, awara
Pagal, majnu, deewana



Credits
Writer(s): Sameer Anjaan, Shravan Rathod, Nadeem Saifi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link