Kamal Hai

abhi abhi to aayi ho
abhi abhi to
abhi abhi to aayi ho
bahaar ban ke chaayi ho
Hawa zara mahek to le
nazar zara bahek to le
Yeh shaam dhal to le zara
yeh shaam dhal to le zara
yeh dil sambhal to le zara
main thodi der jee to loon
nashe ke ghoont pi to loon
nashe ke ghoont pi to loon
abhi to kuch kaha nahi
abhi to kuch suna nahi
abhi na jaao chhod kar
ke dil abhi bhara nahi

Sitaare jhilmila uthe
chirag jagmaga uthe
bas ab na mujhko tokna
na badhke raah rokna
Agar main ruk gayi abhi
to jaa na paungi kabhi
yahi kahoge tum sada
ke dil abhi nahi bhara
jo khatam ho kisi jagah
yeh aisa silsila nahi

abhi nahi abhi nahi
nahi nahi nahi nahi

Adhoori aas
Adhoori aas chhod ke
adhuri pyaas chhod ke
jo roz yuhi jaaogi
to kis tarah nibhaaogi
ki zindagi ki raah mein
jawaan dilon ki chaah mein
kai makaam aayenge
jo humko aazmayenge
bura na maano baat ka
yeh pyar hai gila nahi

haan yehi kahoge tum sada
ke dil abhi bhara nahi

Haan dil abhi bhara nahi
Nahi nahi nahi nahi



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link