Om Shanti Om

hey, tumne kabhi kisi se pyaar kiya?, kabhi kisi ko dil diya?
maine bhi diya!, (la la la la, la la la la - 4)
meri umar ke naujawaanon, la la la la, la la la la
dil na lagaana o deewanon, la la la la, la la la la
ae meri umar ke naujawaanon, dil na lagaana o deewanon
maine pyaar karke, chain khoya, neend khoyi
arre jhooth to kehte nahin hai, kehte nahin hai log koi
ae, pyaar se badhkar nahin hai, badhkar nahin hai rog koi
(chalta nahin hai dil deke yaaron is dil pe zor koi) - 2
is rog ka nahin hai ilaaj, duniya mein aur koi
to gaao (om shaanti om, shaanti shaanti om - 4)
hey, (maine kisi ko dil deke kar li, raatein kharaab dekho - 2)
aaya nahin abhi tak udhar se - 2, koi jawaab dekho
(woh na kahenge to khudkashi, bhi kar jaaoonga main yaaron) - 2
woh haan kahenge to bhi khushi se, mar jaaonga main yaaron
to gaao (om shaanti om, shaanti shaanti om - 2)
(jo chhup gaya hai pehli nazar ka pehla salaam lekar) - 2
har ek saans leta hoon ab main (uska hi naam lekar - 2)
(mere hazaaron deewane ab main khud ban gaya deewana) - 2
yeh waqt tumpe aa jaaye pyaar mein, to yeh geet gaana
sing (om shaanti om, shaanti shaanti om - 2)
meri umar ke naujawaanon, dil na lagaana o deewanon
maine pyaar karke, chain khoya, neend khoyi
arre jhooth to kehte nahin hai, kehte nahin hai log koi
ae, pyaar se badhkar nahin hai, badhkar nahin hai rog koi
chalta nahin hai dil deke yaaron, is dil pe zor koi
is rog ka nahin hai ilaaj, duniya mein aur koi
to gaao (om shaanti om, shaanti shaanti om - 2)
om shaanti om om shaanti om - 2
om shaanti shaanti om - 2, om shaanti shaanti om shaanti om ...



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Laxmikant-pyarelal, Dj Vaggy
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link