Hum Hee hum

Baadalon se main upar, baarishon ko chhuta hoon
Neeli dhup ki kirane haathon mein rakhata hoon
Mujhe udate hi jaana hai - (2)
Yeh manjar kya suhaana hai
Aankh lagi toh duniya badali, ho... sone do - (2)

Paaniyon ke niche main motiyon se kehata hoon
Machhaliyon ki baatein main sipiyon se sunata hoon
Kayi maujo ko aana hai - (2)
Yeh manjar kya suhaana hai
Aankh lagi toh duniya badali, ho... sone do - (2)

Naa jaagu, rahunga yahin, mila kya mujhe kahunga kabhi
Ek sapne mein gum main hoon abhi
Aankh lagi toh duniya badali, ho... sone do - (4)



Credits
Writer(s): Anwar Maqsood, Bilal Maqsood
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link