Dhak Dhak Se Dhadakna Sikha De

Dhak dhak se dhadakna bhula de
Chhan chhan se chhanakna sikha de
Dhak dhak se dhadakna bhula de
Chhan chhan se chhanakna sikha de
Mere dil ko piro ke payal me
Mere dil ko piro ke payal me
Ho gori
Ho gori, ghungharu bana de
Dhak dhak se dhadakna bhula de
Chhan chhan se chhanakna sikha de

Chhan chhan, chhan chhan, chhan chhan

Mujhse bhale
Mujhse bhale
Chandi ke batan tere jo kurte pe tune lagaye
Woh pas kitne main dur kitna kaise mujhe chain aaye
Kuchh aur nahi toh kadmo me
Kuchh aur nahi toh kadmo me, ho thodi si jagah de
Ghungharu bana de
Dhak dhak se dhadakna bhula de
Chhan chhan se chhanakna sikha de

Is duniya me hain iljam jitne
Is duniya me hain iljam jitne, woh mere sar lag gaye hain
Din rat udane ki sochta hai, iss dil ko par lag gaye hain
Iss panchhi ko
Iss panchhi ko apne naino ke ho pinjare me basa de
Ghungharu bana de
Dhak dhak se dhadakna bhula de
Chhan chhan se chhanakna sikha de
Mere dil ko piro ke payal me
Ho gori, ghungharu bana de
Dhak dhak se dhadakna bhula de
Chhan chhan se chhanakna sikha de
Chhan chhan, chhan chhan, chhan chhan.



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link