Woh Subah Hami Se Aayegi

In kaali sadiyon ke sar se
Jab raat ka aanchal dhalakegaa
Jab dukh ke baadal pighalenge
Jab sukh ka saagar chhalkegaa

Jab ambar jhoom ke naachega, jab dharti naghme gaaegi
Vo subah hami se aaegee, vo subah hami se aaegee
Vo subah hami se aaegee, vo subah hami se aaegee

Jis subah kee khaatir jug-jug se
Hum saba mar-mar ke jeete hain
Jis subah ke amrth kee dhun mein
Hum zahar ke pyaale pite hain

In bhukhi-pyaasi ruhon par ek din to karam faramaaegi
Vo subah hami se aaegee, vo subah hami se aaegee
Vo subah hami se aaegee, vo subah hami se aaegee

Maanaa ki abhee tere-mere
Armaanon kee qeemat kuch bhee nahin
Mittee ka bhee hai kuch mola
Magar insaanon kee keemat kuch bhee nahin

Insaanon kee izzat jab jhoothe sikkon mein naa toli jaaegee
Vo subah hami se aaegee, vo subah hami se aaegee
Vo subah hami se aaegee, vo subah hami se aaegee
Vo subah hami se aaegee, vo subah hami se aaegee



Credits
Writer(s): Anu Malik, Khaiyyam, Raghav Kaushal, Ludiavani Sahir
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link